su-e-dariya khanda-zan vo yar-e-jani phir gaya
motiyon ki aabru par aaj paani phir gaya
suiyan si kuchh dil-e-vahshi men phir chubhne lagin
thiik hone ko libas-e-arghavani phir gaya
hathkadi bhari hai mere haath ki aaj ai junun
dast-e-janan ka kahin chhalla nishani phir gaya
zor paida kar ki pahunche jeb tak dast-e-junun
ab to mausam ai vafur-e-na-tavani phir gaya
sarfroshan-e-mohabbat se na hogi aankh chaar
munh jo us ki tegh ka ai sakht-jani phir gaya
kahte ho ham aaj mulk-e-husn ke hain badshah
kya huma bala-e-sar ai yar-e-jani phir gaya
kyuun kabutar ke evaz hudhud na laaya khatt-e-shauq
is khata par mujh se vo bilqis-e-sani phir gaya
bosa kaisa ik lab-e-shirin se gaali bhi na di
aaj phir ummid-var-e-mehrbani phir gaya
ai zaifi saaya sar par se gaya dhuup aa gai
fasl badli aftab-e-zindagani phir gaya
gir pade aansu uruj-e-mah-e-kamil dekh kar
miri nazron men tira ahd-e-javani phir gaya
Leave a Reply