kabhi baharon ke mausamon men jo dil ki basti ghazal-sara thi
vahin kahin ek aarzu ke machalne ki bhi baḌi katha thi
jala ke jab saari kashtiyan main samundaron ki bani ghiza thi
usi ghaḌi to jabin-e-shab par likhi ga.i meri bhi dua thi
bina saharon ke ziist mushkil guzar aa.e to phir ye jaana
ki main hi apne hasin chaman ka zamin-e-nam thi shajar ghana thi
mohabbaten bhi rifaqaten bhi adavaten aur nadamaten bhi
mira asasa main janti thi kahan vafa thi kahan jafa thi
virasaton ki kitab kholi to naam mera kahin nahin tha
main chup thi socha ki is men shayad mire qabile ki bhi raza thi
jalega dil to dhuan uThega ye aag aise nahin bujhegi
nagar nagar ye ḳhabar pahunchti magar hava ki ajab disha thi
bahut pukara tha manzilon ne ‘hina’ mujhe un hi raston se
magar musalsal safar tha mera kahin na rukne men hi baqa thi
Leave a Reply