Hum Hain Be-Dil Dil Apne Pas Nahin

ham haiñ be-dil dil apne paas nahīñ

aah is kā bhī tujh ko paas nahīñ

bevafā kuchh nahīñ tirī taqsīr

mujh ko merī vafā hī raas nahīñ

qatl merā hai terī bad-nāmī

jaan kā varna kuchh hirās nahīñ

tū hī behtar hai ham se ā.īne

ham to itne bhī rū-shanās nahīñ

yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī bar-haq hai

par ‘asar’ kī hameñ to aas nahīñ

Leave a Comment