vahan to roz sitara naya chamakta hai
yahan bas ek hi jugnu hai jo sisakta hai
use to vaqt ne ḳhamoshiyan hi baḳhshi hain
jo apni raah badalta hai aur bhaTakta hai
vo ek jhuuT tha jo raushni men aa pahuncha
ye ek sach hai andheron men jo bhaTakta hai
tu kis ḳhayal men kis soch men hai fikr na kar
ki mera zaḳhm tira zulm chhup to sakta hai
laga liye hain jo main ne bhi mausami chehre
tu mere ghar men bhi suraj sa ik chamakta hai
‘niyazi’ aaj us atish-badan ki yaad aa.i
ki jis ke naam se sho.ala sa ik lapakta hai
Leave a Reply