mutma.in baiTha huun ḳhud ko jaan kar
aur kya milta ḳhuda ko maan kar
mere dushman ki sharafat dekhiye
daar karta hai mujhe pahchan kar
zehn-o-dil tafriq ke qaa.il nahin
kya karun apna paraya jaan kar
dosto rudad-e-manzil phir kabhi
rasta chup tha mujhe pahchan kar
zindagi se ab bhi samjhauta nahin
ji liye teri zarurat jaan kar
apne andar raste milne lage
ruk gaya tha ḳhud ko manzil jaan kar
sher to ‘anjum’ ata-e-ghaib hai
fa.eda kya lafz-o-ma.ani chhan kar
Leave a Reply