vo ashna-e-manzil-e-irfan hua nahin
jis ko tire karam ka sahara mila nahin
dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahin
tum se tum hi ho tum sa koi dusra nahin
ja.un to uTh ke ja.un kahan tere dar se main
tere siva kisi ko bhi dil manta nahin
tera karam mata-e-do-alam mire liye
tera karam rahe to do-alam men kya nahin
dast-e-talab baḌhe to mile phir karam ki bhiik
un ki ata ne ye bhi gavara kiya nahin
main bhi faqir-e-dar huun mujhe bhi navaz do
mayus koi dar se tumhare gaya nahin
takmil bandagi na hui mujh se ai ‘fana’
jab tak dar-e-habib pe sajda kiya nahin
Leave a Reply