hain jane-bujhe yaar ham, ham saath an-jani na kar
dar se hamen durkar na jaani ye nadani na kar
ik dil tha jo tujh ko diya hai aur dil jo aur le
ham chahen tujh chhut aur ko ye baat divani na kar
arsh-e-ilahulalamin ja-e-adab hai khol jhad
hai khana-e-dil gharq par dekh ashk tughyani na kar
hain jhonpadiyan ham-sae men mat aag in ko lag uthe
nichli tu rah siine men tuk, tuk aah jaulani na kar
ham ishq tere haath se kya kya na dekhin halaten
dekh ab-dida khuun na ho khun-e-jigar paani na kar
aansu ke hai dariya pe aa dil ka safina tar raha
ab ‘azfari’ mat aah bhar kashti ye tufani na kar
Leave a Reply