kisi ke husn-e-alam-tab ki tanvir ke sadqe
kisi bad-baḳht ki surat bhi pahchani nahin jaati
muravvat ki ada par band ankhen kar ke luT jaana
ye nadani sahi lekin ye nadani nahin jaati
vahan dil le chala hai phir vahi ik baat kahne ko
kahi jaati hai jo aksar magar maani nahin jaati
ḳhudavanda phir aḳhir kya tamanna hai mire dil ki
vo pahlu men bhi hain lekin pareshani nahin jaati
kiya tha main ne shikva aap ne ankhen jhuka li thiin
hui muddat magar ab tak pashemani nahin jaati
vahi hai apni rindi aur vahi vaa.iz ki fahma.ish
buri aadat koi bhi ho ba-asani nahin jaati
Leave a Reply