vo kuchh gahri soch men aise duub gaya hai
baithe baithe nadi kinare duub gaya hai
aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi
aaj ka suraj shaam se pahle duub gaya hai
vo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
paani paani kahte kahte duub gaya hai
mere apne andar ek bhanvar tha jis men
mera sab kuchh saath hi mere duub gaya hai
shor to yuun uttha tha jaise ik tufan ho
sannate men jaane kaise duub gaya hai
akhiri khvahish puuri kar ke jiina kaisa
‘anas’ bhi sahil tak aa ke duub gaya hai
Leave a Reply