• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tang Aa Gae Hain Kya Karen Is Zindagi Se Hum

Tang Aa Gae Hain Kya Karen Is Zindagi Se Hum

tang aa ga.e hain kya karen is zindagi se ham

ghabra ke puchhte hain akele men ji se ham

majburiyon ko apni kahen kya kisi se ham

laa.e ga.e hain, aa.e nahin hain ḳhushi se ham

kam-baḳht dil ki maan ga.e, baiThna paḌa

yuun to hazar baar uThe us gali se ham

yarab! bura bhi ho dil-e-ḳhana-ḳharab ka

sharma rahe hain is ki badaulat kisi se ham

din hi pahaḌ hai shab-e-gham kya ho kya na ho

ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se ham

dekha na tum ne aankh uTha kar bhi ek baar

guzre hazar baar tumhari gali se ham

matlab yahi nahin dil-e-ḳhana-ḳharab ka

kahne men us ke aa.en guzar jaa.en ji se ham

chheḌa adu ne ruuTh ga.e saari bazm se

bole ki ab na baat karenge kisi se ham

tum sun ke kya karoge kahani gharib ki

jo sab ki sun raha hai kahenge usi se ham

mahfil men us ne ghair ko pahlu men di jagah

guzri jo dil pe kya kahen ‘bismil’ kisi se ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mushkil Hai Pata Chalna Qisson Se Mohabbat Ka

majrooh-sultanpuri

Khanjar Ki Tarah Bu-E-Saman Tez Bahut Hai

abid-malik

Shahr Se Jab Bhi Koi Shahr Juda Hota Hai

Dilon Par Hukmarani Hai Usi Ki

Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet