kisi khayal ki hiddat se jalna chahti huun
main lafz lafz ghazal men pighalna chahti huun
ajiib mausam-e-dil hai ajiib majburi
na khud se ruthun na tum se bichhadna chahti huun
pahan ke khvab-e-qaba dhund lungi chand-nagar
sahaj sahaj kisi badal pe chalna chahti huun
haqiqaten to mire roz o shab ki sathi hain
main roz o shab ki haqiqat badalna chahti huun
kabhi to khud-nigari ki fasil se bahar
khud apne saath safar par nikalna chahti huun
Leave a Reply