
Poet
shab-e-furqat qaza nahin aati
laakh kahta huun aa nahin aati
chup hain vo sun ke shikva-e-aghyar
baat bhi to bana nahin aati
vo to va.ade pe aa chuke ai maut
tu bhi aati hai ya nahin aati
kis maraz ki dava hain aap agar
dard-e-dil ki dava nahin aati
shisha-e-dil hai kis qadar nazuk
TuTne ki sada nahin aati
ham hain azada-rau jahan men ‘nasim’
yaan havas ki hava nahin aati

Leave a Reply