ane-jane ka hai ye rasta kyuun
hai bichhaḌna agar to milna kyuun
haath aaya to phir parinda kya
aur uḌa jo kahin to mera kyuun
kis farishte ki baat karte ho
jab bura hi nahin vo achchha kyuun
ho ke naraz mujh se kahte hain
zulmaton ke liye ho ḳhatra kyuun
kyuun nahin dekhta hava ka ruḳh
‘shah’ banta hai phir nishana kyuun
Leave a Reply