zard patton ka ghubar uḌta hua
ḳhema-e-gul men sharar uḌta hua
bah chuki gadra.e jismon ki sharab
lams-e-avval ka ḳhumar uḌta hua
sab ne dekha aur sab ḳhamosh the
ek suufi ka mazar uḌta hua
lag chuki hai sabz dariyaon men aag
bhaap ban kar abshar uḌta hua
mutma.in divar par hai chhipkali
ḳhud hi aa.ega shikar uḌta hua
us ne aa kar haath mathe par rakha
aur minton men buḳhar uḌta hua
Leave a Reply