parda-e-zehn se saaya sa guzar jaata hai
jaise pal bhar ko mira dil bhi thahar jaata hai
teri yadon ke diye jab bhi jalata hai ye dil
husn kuchh aur shab-e-gham ka nikhar jaata hai
hasraten dil ki mujassam nahin hone patin
khvab banne nahin paata ki bikhar jaata hai
raat bhige to ik anjan sa benam sa dard
chandni ban ke fazaon men bikhar jaata hai
raat kaate nahin katti hai kisi surat se
din to duniya ke bakhedon men guzar jaata hai
us ko bhi kahte hain ‘mumtaz’ vafa ka naghma
dil-e-betab men ghut ghut ke jo mar jaata hai
Leave a Reply