tumhara shahr kaisa hai
vo suraj jo tumhare paas aa kar jagmagata hai
vo kaisa hai
vo chanda jo tumhari sej par taare sajata hai
vo kaisa hai
vo rasta jo tumhare ghar ko jaata hai
vo kaisa hai
tumhara shahr kaisa hai
vo kirnen jo tera angan sajati hain
vo kaisi hain
havaen jo tujhe chhu kar satati hain
vo kaisi hain
vo raten jo tujhe lori sunati hain
vo kaisi hain
tumhara shahr kaisa hai
tumhare shahr ki jitni fazaen jitne raste hain
vo kaise hain
tumhare shahr men jitne sajile log baste hain
vo kaise hain
tumhare shahr ke sab phuul aur taare jo hanste hain
vo kaise hain
tumhara shahr kaisa hai
suna hai phuul bhi is shahr men murjhae rahte hain
sitare sahme rahte hain chaman kumhlae rahte hain
suna hai ab to chanda ki bhi lau tharrai rahti hai
suna hai ab to suraj ke lahu se baas aati hai
sabhi chehron ko nafrat aur dar ne yuun sajaya hai
ki saare shahr par jaise koi aaseb chhaya hai
Leave a Reply