saya-e-zulm sar-e-ḳhalq-e-ḳhuda hota hai
jab bhi parcham shab-e-yalda ka khula hota hai
jante bhi hain ki hai zulm ki bala-dasti
ye bhi kahte hain ki bandon ka ḳhuda hota hai
rat-bhar jagne valon ne bataya hai hamen
rat-bhar shahr ka darvaza khula hota hai
vahi parkar-e-jafa aur vahi qirtas-e-vatan
da.era jabr ka har samt khincha hota hai
ab to ye haal hua hai ki har ik raste par
raah roke hue ik rah-numa hota hai
nisbat-e-ahd-e-guzishta se ba-qaul-e-‘ghalib’
roz is shahr men ik hukm naya hota hai
sab samajhte hain ‘munir’ aur kahe jaate hain
kuchh samajh men nahin aata hai ki kya hota hai
Leave a Reply