bolega kaun ashiq-e-nadar ki taraf
saara zamana aaj to hai yaar ki taraf
jin aankh se liya tha dil ab vo rahi na aankh
hairat se dekhta huun ruḳh-e-yar ki taraf
darban kabhi jo roke vo nazuk mizaj hain
munh kar ke so.en ham na dar-e-yar ki taraf
haare hue ho boson ka kar lo abhi hisab
fazil hai kuchh hamara hi sarkar ki taraf
baiTha hai kab se muntazir yaan par nigah-e-mehr
dekh aankh uTha ke talib-e-didar ki taraf
paḌti hai jabki abru-e-qatil pe meri aankh
rah rah ke dekhta hai vo talvar ki taraf
dagh-e-riya sharab se dhone ke vaste
zahid chala hai ḳhana-e-ḳhummar ki taraf
bulbul ne ki bahar men kis yaas se ik aah
chak-e-qafas se dekh ke gulzar ki taraf
paḌhta huun fatiha main su-e-qabr-e-kohkan
hota hai jab guzar kabhi kohsar ki taraf
yuun dil pe mere paḌti hai aankh us ki jis tarah
jallad dekhta hai gunahgar ki taraf
karta hai shauq-e-dil ke evaz mol husn ka
dallal bolta hai ḳharidar ki taraf
a.ina saan huun amad-e-dilbar ka hairati
ruḳh su-e-dar hai pusht hai divar ki taraf
phulon men ye kahan ḳhalish-e-ḳhar ka maza
jaana junun na dasht se gulzar ki taraf
barbad kar na ḳhaak miri ai hava-e-shauq
le chal uḌa ke kucha-e-dil-dar ki taraf
kaun ab kare hamari taraf-dari ai ‘qalaq’
dil tak hai apna apne dil-azar ki taraf
Leave a Reply