• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aur Ai Chashm-E-Tarab Baada-E-Gulfam Abhi

Aur Ai Chashm-E-Tarab Baada-E-Gulfam Abhi

aur ai chashm-e-tarab bada-e-gulfam abhi

dil hai be-gana-e-andesha-e-anjam abhi

bada-o-saqi-o-mutrib ka na lo naam abhi

gard-alud hai a.ina-e-ayyam abhi

dil hai majruh par-o-bal shikasta hamdam

daam se chhuT ke bhi huun main tah-e-dam abhi

mani-o-maqsad-e-hasti ka samajhna ma.alum

aql hai sirf parastari-e-auham abhi

ishrat-e-jalva-e-be-bak mubarak ai ishq

dida-o-dil hain magar tishna-e-paigham abhi

gham nahin sab pe agar chashm-e-karam hai teri

gham to ye hai ki sitam bhi hai tira aam abhi

ai subuk-sair-e-nazar ek payam-e-rangin

hai harif-e-gham-e-dil gardish-e-ayyam abhi

davat-e-shauq ba-unvan-e-sitam bhi to nahin

us pe ilzam ki hai jazba-e-dil ḳhaam abhi

tu ne kya chiiz bana di nigah-e-sehr-taraz

vo jo thi shisha-e-dil men mai-e-be-nam abhi

zindagi manzil-e-maqsud se agah nahin

us ki me.araj hai parvaz sar-e-bam abhi

kis ko ye hosh ki paigham-e-mohabbat samjhe

dil hai varafta-e-rangini-e-paigham abhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har Ek Yaqin Ko Humne Guman Bana Diya Hai

KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta

Hamara Man Bhi Usi Mein Magan Raha Hoga

Jo Duhai De Raha Hai Koi Saudai Na Ho

poet

Mir Ki Sadgi Bayan Mein Rakh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet