gham ka hamil na kuchh ḳhushi ka hai
dil giraftar ashiqi ka hai
husn aur ma.il-e-karam tauba
ye muqaddar kisi kisi ka hai
koi luuTa gaya sar-e-manzil
tazkira har jagah usi ka hai
vo nazar bhar ke dekhta hi nahin
aks dil men magar usi ka hai
maut se to mafar nahin hargiz
asl matam to zindagi ka hai
niind ankhon se shauq se jaa.e
ranj furqat men bekali ka hai
vo ‘nazar’ ko bacha ke jaate hain
vaqi.a ye abhi abhi ka hai
Leave a Reply