Ghar Aangan Mein Phaili Dhup

ghar āñgan meñ phailī dhuup

piile rañg meñ lipTī dhuup

roz kitābeñ chūmtī hai

sub.h kī ujlī ujlī dhuup

ham jab bhī schōl ga.e

ham se pahle vahāñ thī dhuup

ham na rukeñge manzil tak

kaisī bārish kaisī dhuup

dhartī sonā lagtī hai

chamkā.e yuuñ miTTī dhuup

DhūñDā thā ham ne to qalam

baste meñ se niklī dhuup

kirnoñ kī chhatrī thāme

‘hāfiz’ chhat par utrī dhuup

Leave a Comment