vo aalam tishnagi ka hai safar asan nahin lagta
ba-zahir to mujhe barish ka bhi imkan nahin lagta
ye dil jagir hai jis ki usi ke naam kar di hai
jo mere dil ke angan men mujhe mehman nahin lagta
shu.ur-o-agahi kaisi koi vahshi koi sarkash
ye kaisa desh hai jis men koi insan nahin lagta
na.i qadren na.i tahzib ka aghaz hota hai
gulistan-e-adab hargiz kabhi viran nahin lagta
na ho mahfuz mal-o-zar na izzat-abru hi jab
to phir zinda kisi ka bhi mujhe iman nahin lagta
kahan ka faḳhr kaisa naaz man-anam ki man-danam
magar jo rab se paaya hai mujhe arzan nahin lagta
ḳhuda rakkhe ‘sabila’ har ghaḌi man-bap ka saaya
dua se jin ki tufan bhi mujhe tufan nahin lagta
Leave a Reply