na saani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya
nigah-e-shauq tak le kar payam-e-fitna-gar aaya
kaha la-raib baḌh kar ilm-o-danish ne aqidat se
jo bazm-e-ahl-e-fan men aaj mujh sa be-hunar aaya
sar-e-mahfil churana mujh se daman is ka zamin hai
nahin aaya agar mujh tak ba-andaz-e-digar aaya
bahut ai dil tiri rudad-e-gham ne tuul khincha hai
kabhi vo but bhi sunne ko ye qissa muḳhtasar aaya
hamari ik ḳhata ne ḳhuld se duniya men la phenka
agar dar-pesh duniya se bhi phir koi safar aaya
main ḳhud hi bevafa huun be-adab huun apna qatil huun
har ik ilzam mere sar ba-alfaz-e-digar aaya
mukaddar kuchh faza ‘gulzar’ dilli men sahi lekin
kahin ahl-e-zaban ham sa bhi urdu men nazar aaya
Leave a Reply