har aane jaane vaale ka munh dekhta raha
main rahguzar pe ziist ki tanha khaḌa raha
is zindagi ne zaḳhm diye barha magar
jaane har ek zaḳhm ko kyon chumta raha
chhoḌa hai andhiy.on ne na baaqi nishan-e-rah
phir bhi main tera naqsh-e-qadam DhunDhta raha
tanha nahin raha huun main tere firaq men
dil par tere hi dard ka pahra laga raha
din ko to silsile the gham-e-rozgar ke
shab bhar tire ḳhayal ka tanta laga raha
yad-e-‘habib’ thi ki dhundhlakon men kho ga.i
dil men siva.e ḳhaak ke baaqi bhi kya raha
Leave a Reply