• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir Tera Shahr Teri Rahguzar Ho Ki Na Ho

Phir Tera Shahr Teri Rahguzar Ho Ki Na Ho

phir tira shahr tiri rahguzar ho ki na ho

aur ho bhi to mujhe shauq-e-safar ho ki na ho

ho na ho phir se rag-o-pai men shararon ka guman

phir kabhi dosh pe mere tira sar ho ki na ho

maang luun tere havale se to shayad mil jaa.e

kya ḳhabar sirf duaon men asar ho ki na ho

na-umidi ke ye shab-zad Darate hain mujhe

tere aane se munavvar mira ghar ho ki na ho

mujh se bhula na gaya un ke labon ka vo khinchav

yaad un ko bhi mira dida-e-tar ho ki na ho

ab bhi aa jaao koi der khuli hain ankhen

kya ḳhabar phir kabhi divar men dar ho ki na ho

maan ke anchal ke tale baiTh lo kuchh der ai ‘taj’

kya ḳhabar aage ye saaya ye shajar ho ki na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hawas Ke Bij Badan Jab Se Dil Mein Bone Laga

Sochta Hun Ki Use Nind Bhi Aati Hogi

Diwar-O-Dar Se Chahe to Rishta Bana Ke Rakh

Rahbar Rah-Numa Koi Nahin Hota Hai

haTe Ye Aaina Mahfil Se Aur Tu Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet