ajab tilism hai nairang-e-javedani ka
ki TuTta hi nahin nashsha ḳhud-gumani ka
safar tamam hua jab sarab ka to khula
ajiib za.iqa hota hai ThanDe paani ka
jahan pe ḳhatm vahin se shurua hoti hai
tabhi to zikr-e-musalsal hai is kahani ka
kidhar Dubo ke kahan par ubharta hai tu
ye kaisa rang hai dariya tiri ravani ka
vo mujh men ab bhi vahi hausle talashta hai
kahan se DhunD ke laa.en badal javani ka
Leave a Reply