hosh-zada nadan se Dar
baat samajh insan se Dar
tark-e-mohabbat bhi hai fareb
Thahre hue tufan se Dar
rah-e-junun hai rah-e-najat
kufr se bhaag iman se Dar
duri-o-qurbat kuchh bhi nahin
ishq men itminan se Dar
maut bhi itni talḳh nahin
doston ke ehsan se Dar
ek tabassum kam na samajh
ansuon ke tufan se Dar
honTh hansen dil ro.e ‘ḳhumar’
ishq ki jhuTi shaan se Dar
Leave a Reply