• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhaare honT Jin Ke Zikr Ki Garmi Se Jalte Hain

Tumhaare honT Jin Ke Zikr Ki Garmi Se Jalte Hain

tumhare honT jin ke zikr ki garmi se jalte hain

hamare jaise divane unhin rahon pe chalte hain

jinhen qirtas par la.un to ik hangama ho jaa.e

shab-e-tanha.i men aksar kuchh aise sher Dhalte hain

batao chain se kaise rahen ham aisi vaadi men

jahan gulshan ke rakhvale hi kaliyon ko masalte hain

tire aage na apna sar jhuka.en to kahan jaa.en

ki ham roz-e-azal se hi tire TukḌon pe palte hain

machal jaata hai dil vaise hi tum ko dekhne ke baad

khilauna dekh kar jis tarah se bachche machalte hain

pahunchti hai maqam-e-intiha par bandagi jis dam

hamare paanv ki Thokar se bhi chashme ubalte hain

tumhari rahbari qaa.em rahegi phir bhi ai ‘rahbar’

nikal jaane do kuchh logon ko gar aage nikalte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahnaz-nabi

Pap

abdul-aziz-fitrat

Apni Nakaam Tamannaon Ka Matam Na Karo

Jise Kal Raat Bhar Puja Gaya Tha

Wo Hazir Ho Ki Ghaeb Ho Nihan Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi

Visal-Rut Ki Kamai Samajh Mein Aane Lagi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet