vo mire shahr men aata hai chala jaata hai
sab ko divana banata hai chala jaata hai
zindagi jis ki ujaḌ jaati hai is se puchho
zalzala shahr men aata hai chala jaata hai
ek do buund baras kar ye garajta badal
dasht ki pyaas baḌhata hai chala jaata hai
naḳhuda hi nahin maujon ka thapeḌa aksar
kashtiyan paar lagata hai chala jaata hai
kaun vo kursi-nashin hai ki har aane vaala
sar-e-taslim jhukata hai chala jaata hai
jaane kab se vo sar-e-sham mazar-e-dil par
sham-e-ummid jalata hai chala jaata hai
Leave a Reply