safar men ab bhi adatan sarab dekhta huun main
qarib-e-marg zindagi ke ḳhvab dekhta huun main
hava ne harf-e-sada mere zehn se uḌa liya
to ab har ek baat par kitab dekhta huun main
bahar ki savariyon ke ham-rikab kyuun rahe
ḳhizan ka barg-o-bar par itaab dekhta huun main
khaḌa huun nok-e-ḳhar par guman-dar-guman par
khulega kab haqiqaton ka baab dekhta huun main
ajiib us ki sarvari na.i hai shaan har ghaḌi
banon men shahr, shahr men sarab dekhta huun main
nazar-fareb Dhang hain sitamgaron ke rang hain
nigah men qahr haath men gulab dekhta huun main
ghazal se chheḌ-chhaḌ ko gunah janta tha main
magar ab is gunah men savab dekhta huun main
‘suhail’ shaam Dhal ga.i dukan apni baḌh ga.i
zara si raushni hai aur hisab dekhta huun main
Leave a Reply