• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jin Baaton Ko Kahna Mushkil Hota Hai

Jin Baaton Ko Kahna Mushkil Hota Hai

jin baton ko kahna mushkil hota hai

un baton ko sahna mushkil hota hai

is duniya men rah kar ham ne ye jaana

is duniya men rahna mushkil hota hai

jis dhara men bahna sab se asan ho

us dhara men bahna mushkil hota hai

us ke saath hamen asani hai kitni

us se ye bhi kahna mushkil hota hai

us ke ta.ane us ke ta.ane hote hain

mushkil se bhi sahna mushkil hota hai

vo sab baten jo tum aksar kahti ho

un baton ka sahna mushkil hota hai

vo baten jo kahne men asan lagen

un baton ka kahna mushkil hota hai

maazi ki yaden bhi aisa suraj hain

jis suraj ka gahna mushkil hota hai

main apni duniya ka aisa suraj huun

jis suraj ka gahna mushkil hota hai

lagti hai ye bahr bahut asan magar

is men ghazlen kahna mushkil hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere Siwa Meri Hasti Koi Jahan Mein Nahin

ahmad-sajjad-babar

Na Faisla Tumhaara Hai Na Faisla Hamara Hai

poet

Ba-Zahir Rang KHushbu Raushni Yak-Jaan Hote Hain

Wo Dost Tha to Usi Ko Adu Bhi Hona Tha

Un Ke ruKH Par Jamal Hai Goya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet