tujh chehra-e-gul-rang niin khuban ko gul-guni diya
tere lab yaqut ne mujh dil kuun pur-khuni diya
divana ho ghar chhod kar jaata raha sahra taraf
ai rashk-e-laila tu ne jab ashiq ko majnuni diya
mazmun aali bandhta huun tere qad ki vasf men
mujh taba kuun sohbat ne teri jab se mauzuni diya
barja hai gar maghrur huun apne dilan men shairan
nirkh-e-sukhan kuun tujh sukhan-fahmi ne afzuni diya
farhat ki surat niin nazar aai mujhe ai nur-e-chashm
teri judai men magar aalam ko mahzuni diya
didar ki hai ishtiha saaf ai tabib-e-mehrban
tujh shauq ne goya mujhe maajun-zaruni diya
kahte hain saare barahman mujh ‘mubtala’ suun ai sanam
zunnar-e-gesu khol tuun har dil kuun baftuni diya
Leave a Reply