dard halka hai saans bhari hai
jiye jaane ki rasm jaari hai
aap ke baad har ghadi ham ne
aap ke saath hi guzari hai
raat ko chandni to odha do
din ki chadar abhi utari hai
shakh par koi qahqaha to khile
kaisi chup si chaman pe taari hai
kal ka har vaqia tumhara tha
aaj ki dastan hamari hai
Leave a Reply