kuchh apne kaam nahin aave jam-e-jam ki kitab
kifayat apne ko bas ek apne gham ki kitab
nahin ḳhayal siva us ke aur hai dil men
jo maktab ishq men jaise paḌha sanam ki kitab
ḳhat aane se nahin ḳhatir jama hue mutlaq
ise to ḳhat kahun ya sabza ya sitam ki kitab
shab-e-firaq se teri gaya huun sab kuchh bhuul
viqaya kanz-o-hidaya sabhi ilam ki kitab
hua ba-madrasa-e-ishq jab se talib-e-ilm
bahut hai apne mutala ko ek dam ki kitab
na barhaman huun na mulla na maulvi na atiit
jo pothi dair ki pan.cho o ya haram ki kitab
kitab-e-husn ki ‘qasim-ali’ mutala kar
bana.i san.e.a ne san.at se yak-qalam ki kitab
Leave a Reply