samne tere huun ghabraya hua
be-zaban hone par sharmaya hua
laakh ab manzar ho dhundlaya hua
yaad hai mujh ko nazar aaya hua
ye bhi kahna tha bata kar rasta
main vahi huun tera bhaTkaya hua
main ki ik aaseb ik be-chain ruuh
be-vuzu hathon ka dafnaya hua
aa gaya phir mashvara dene mujhe
ḳhema-e-dushman ka samjhaya hua
phir vo manzil lutf kya deti mujhe
main vahan pahuncha tha jhunjhlaya hua
teri galiyon se guzar asan nahin
aaj bhi chalta huun ghabraya hua
kuchh naya karne ka phir matlab hi kya
jab tamasha.i hai uktaya hua
kam se kam is ka to rakhta vo lihaz
main huun ik avaz par aaya hua
mujh ko asani se pa sakta hai kaun
main huun tere dar ka Thukraya hua
Leave a Reply