kis tarah rakh luun saath kisi ham-safar ko main
pahchanta huun ḳhuub har ik mo’atabar ko main
daman men jis ke khel rahi ho shab-e-siyah
kaise karun qubul bhala is sahar ko main
rota hai dil siyasat-e-ahd-e-jadid par
jab dekhta huun gham se pareshan bashar ko main
umr-e-daraz ‘ḳhizr’ mubarak ho aap ko
apna raha huun zindagi-e-muḳhtasar ko main
‘rahbar’ nashat-o-aish ki manzil qarib hai
tai kar chuka huun gham ki har ik rahguzar ko main
Leave a Reply