rahzan huun ki rahnuma huun main
kaun jaane ki asl kya huun main
vo jo ibrat ka ik nishan Thahre
baagh valon ko janta huun main
mujh se ḳhalq-e-ḳhuda larazti hai
kis nauiyat ka parsa huun main
sadgi ko bhi jis pe rashk aa.e
is takalluf ki intiha huun main
kis ne dekha ye dekhna mera
dil ki ankhon se dekhta huun main
bheḌiye ki nigah hai jin par
aisi bheḌon ko hankta huun main
Leave a Reply