tamam hijr usi ka visal hai us ka
main ji raha huun magar jaan o maal hai us ka
vo ziina ziina utarne lage to sab bujh jaae
vo baam par hai to sab mah-o-sal hai us ka
main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se huun
ki is ke baad to saara zaval hai us ka
ugal rahi hain khazane khuli hui ankhen
khabar karo ki ye sar paemal hai us ka
hazar saal se huun tishna-e-saval-o-javab
main itna pyasa huun sona muhal hai us ka
uthae haath to angdai istiara bane
vo tab-o-tab hai ki har dil ghazal hai us ka
qadam qadam shajar-e-saya-dar paida hai
ki mere saath safar men khayal hai us ka
vo le ke aaya hai apni sarisht men shabnam
safar bhi janib-e-bad-e-shimal hai us ka
nigah utthe to shaista-e-junun ho jaaen
havas ko said kare vo jamal hai us ka
khabar nahin thi ki yuun us men duub jaenge
hamare chehre pe rang-e-malal hai us ka
kabhi kabhi to bade zor se dhadakta hai
ye mera dil nahin koi kamal hai us ka
jo aaya hijr ka mausam to kya karenge ham
jo tajrabe men nahin vo saval hai us ka
Leave a Reply