vo ḳhvab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai
bichhaḌne vaala sharik-e-safar to ab bhi hai
zaban burida sahi main ḳhizan-gazida sahi
hara-bhara mira zaḳhm-e-hunar to ab bhi hai
suna tha ham ne ki mausam badal ga.e hain magar
zamin se fasla-e-abr-e-tar to ab bhi hai
hamari dar-badari par na ja.iye ki hamen
shu.ur-e-saya-e-divar-o-dar to ab bhi hai
havas ke daur men mamnun-e-yad-e-yar hain ham
ki yad-e-yar dilon ki sipar to ab bhi hai
kahaniyan hain agar mo’tabar to phir ik shaḳhs
kahaniyon ki tarah mo’tabar to ab bhi hai
hazar khinch le suraj hisar-e-abr magar
kiran kiran pe giraft-e-nazar to ab bhi hai
samundaron se zaminon ko ḳhauf kya ki umiid
numu-pazir zamin-e-hunar to ab bhi hai
magar ye kaun badalti hui ruton se kahe
shajar men saaya nahin hai shajar to ab bhi hai
Leave a Reply