
Akhtar Ansari
jo daagh ban ke tamanna tamam ho jaae
hamen to ḳhuun bhi rona haram ho jaae
shabab-e-dard miri zindagi ki sub.h sahi
piyun sharab yahan tak ki shaam ho jaae
yahi hai maslahat intiha-e-raz ‘aḳhtar’
jahan men rasm-e-mohabbat na aam ho jaae

Leave a Reply