karb-e-furqat ruuh se jaata nahin
hal koi gham ka nazar aata nahin
kaash hota ilm ye insan ko
jo guzar jaata hai pal aata nahin
mit gaya shikve se lutf-e-intizar
ab hamen vo raah dikhlata nahin
ham vafaen kar ke bhi hain sharmsar
vo jafaen kar ke sharmata nahin
dard vo inaam hai ‘sahil’ ki jo
har kisi insan ko raas aata nahin
Leave a Reply