• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pyar Apne Pe Jo Aata Hai To Kya Karte Hain

Pyar Apne Pe Jo Aata Hai To Kya Karte Hain

ahmad-husain-mail

pyaar apne pe jo aata hai to kya karte hain

aina dekh ke munh chuum liya karte hain

vasl ka lutf mujhe vasl se pahle hi mila

jab kaha yaar ne ghabra ke ye kya karte hain

is qadar tha mujhe ulfat men bharosa un par

ki jafa bhi to ye samjha ki vafa karte hain

hai yahi arz khuda se ki fulan but mil jaae

vahi achchhe jo namazon men dua karte hain

lab kisi ke jo hile kaan udhar dhyan udhar

dil laga kar vo mira zikr suna karte hain

subah ko dekh ke aine men bose ka nishan

muskurate hue honton men gila karte hain

kaise kaise mujhe be-sakhta milte hain khitab

ghussa aata hai to kya kya vo kaha karte hain

kya hua mujh ko raqibon ne agar di tazim

teri mahfil men to fitne hi utha karte hain

kaan baton ki taraf aankh hai kamon ki taraf

ho ke anjan mira zikr suna karte hain

chiin peshani pe hai mauj-e-tabassum lab men

aise hansmukh hain ki ghusse men hansa karte hain

bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyuun hon zalil

ham to apna hi lahu aap piya karte hain

is ishare ke fida aise tajahul ke nisar

maar kar aankh vo munh pher liya karte hain

jalse hi jalse hain jab se vo hue khud-mukhtar

koi itna nahin kahta ki ye kya karte hain

ashiqana hai aqida bhi hamara ‘mail’

le ke ham nam-e-butan zikr-e-khuda karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dharti Ko Main Git Sunaya Karta Hun

Pursish Jo Hogi Tujhse Jallad Kya Karega

ambareen-haseeb-ambar

Kab Mausam-E-Bahaar Pukara Nahin Kiya

Dil Wo Kafir Ki Sada Aish Ka Saman Mange

Ye to Hathon Ki Lakiron Mein Tha Girdab Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet