• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhodenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum

Chhodenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum

hatim-ali-mehr

chhodenge gareban ka na ik taar kabhi ham

baithenge junun men to na bekar kabhi ham

rahte na ijazat ke talabgar kabhi ham

hote jo tire talib-e-didar kabhi ham

pahnaega ham ko vo gul-e-zakhm ki baddhi

pahnaenge qatil ko jo ik haar kabhi ham

divana-navazi hai ki sar ko diye patthar

chhodenge na ab daman-e-kohsar kabhi ham

vallah buton se nahin karne ke mohabbat

rakkhenge na ab rishta-e-zunnar kabhi ham

anqa ho jahan se miri jaan nam-e-huma bhi

paaen jo tira saya-e-divar kabhi ham

phahe to rahe daagh junun par pa-e-jannat

kya dar hai jo rakhte nahin dastar kabhi ham

tajviz kiya kijiyega yuun hain sazaen

ya rahm ke bhi honge saza-var kabhi ham

fursat nahin milti hai ghazal kahne ki ai mehr

padhte hain tab is dhang ke ashar kabhi ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Faqat Qayam Ka Matlab Guzar-Basar Koi Hai

poet

Kabhi Kisi Ko Na Ahd-E-Wafa Ka Pas Hua

Teri Chashm-E-Tarab Ko Dekhna paDta Hai Pur-Nam Bhi

firaq-gorakhpuri

Gul Hain Ki Rukh-E-Garm Ke Hain Angare

Gada-E-Shahr-E-Ainda Tahi-Kasa Milega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet