rishton ki ka.enat men simTi hui huun main
muddat se apne aap ko bhuli hui huun main
main ḳhush-nasib huun mire apnon ka saath hai
tanha.iyon se phir bhi kyuun lipTi hui huun main
dam ghonTti rahi huun tamanna ka har samay
in hasraton ki qabr sajati rahi huun main
aati hai yaad aap ki mujh ko kabhi kabhi
aisa nahin ki aap ko bhuli hui huun main
us chara-gar ko zaḳhm dikha.un ya chup rahun
is kashmakash men aaj bhi uljhi hui huun main
huun fikrmand aaj ke halat dekh kar
beTi ki maan huun is liye sahmi hui huun main
jazbat kaise nazm karun apne sher men
kab se isi ḳhayal men Duubi hui huun main
bekar zindagi men ye kaisi ḳhalish ‘siya’
sab kuchh mila hai phir bhi kami DhunDhti huun main
Leave a Reply