biite lamhe kashid karti huun
is tarah jashn-e-id karti huun
jab bhi jaati huun shahr-e-shishagaran
kuchh manazir kharid karti huun
main havaon se dushmani le kar
kitne tufan murid karti huun
meri ankhen mira havala hain
apni ankhon ki diid karti huun
mire jazbe miri shahadat hain
bahte aansu shahid karti huun
subh taare ko dekh kar ‘farrukh’
apni subhen saiid karti huun
Leave a Reply