hamare jism ke andar bhi koi rahta hai
magar ye kaise kahen ham ki vo farishta hai
ajiib shaḳhs hai vo pyaas ke jaziron ka
pahan ke dhuup sada maqtalon men rahta hai
nazar hai din ke chamakte libas par sab ki
qaba-e-sham ke paivand kaun ginta hai
hamari uryan hatheli pe ab bhi sham-o-sahar
ye kaun hai jo guhar ansuon ke rakhta hai
bichhaḌ ga.e to akele rahenge ham ‘sharib’
ki sarason sa hamara tumhara rishta hai
Leave a Reply