justuju karte hi karte kho gaya
un ko jab paaya to khud gum ho gaya
kya khabar yaran-e-rafta ki mile
phir na aaya us gali men jo gaya
jab uthaya us ne apni bazm se
bakht jaage paanv mera so gaya
mujh ko hai khoe hue dil ki talash
aur vo kahte hain ki jaane do gaya
khair hai kyuun is qadar betab hain
hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya
vo miri balin aa kar phir gae
jaag kar mera muqaddar so gaya
aaj phir ‘bedam’ ki halat ghair hai
mai-kasho lena zara dekho gaya
Leave a Reply