agarche mas.ala itna nahin hai
magar haan fa.eda itna nahin hai
mujhe chalte hue arsa hua hai
vagarna fasla itna nahin hai
baḌha rakkha hai zeb-e-dastan ko
haqiqi vaqi.a itna nahin hai
sar-e-rah hi hai bas milna-milana
tumhara rabta itna nahin hai
bahut mahdud hain simTe hue hain
hamara da.era itna nahin hai
Leave a Reply