dekhiye taqdir le jaa.e kidhar
ham-safar koi na koi rahbar
bavajud-e-da.ava-e-fikr-o-nazar
ham rumuz-e-zist se hain be-ḳhabar
zindagi ko ik sahara chahiye
mo’atabar ho vo ki ho na-mo’tabar
na-tavan-o-sust-rau bhi hain yahan
gardish-e-dauran zara ahista-tar
zindagi ke ham pe hain ehsan bahut
ham se puchho zindagi ka dard-e-sar
kab tujhe zeba hai ai shahin-nazhad
ye qafas ka gham ye ranj -bal-o-par
bujh gaya dil to mayassar ab kahan
vo hasin din raat vo sham-o-sahar
tu ne un ka zikr phir chheḌa nadim
jhuum uTThe dekh vo divar-o-dar
aap ko shab-zinda-dari ki qasam
hazrat-e-‘talib’ kahan the raat bhar
Leave a Reply