• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dida-O-Danista Dhoka Kha Gae

Dida-O-Danista Dhoka Kha Gae

dida-o-danista dhoka kha ga.e

ham fareb-e-zindagi men aa ga.e

jab hujum-e-shauq se ghabra ga.e

kho ga.e ḳhud aur tum ko pa ga.e

chain bhi lene nahin dete mujhe

main abhi bhula tha phir yaad aa ga.e

main kahan ja.un nazar ko kya karun

aap to saari faza par chha ga.e

dil hi dil men uf vo dard-e-na-gahan

ankhon hi ankhon men kuchh samjha ga.e

ruḳh se anchal bhi na sarka tha abhi

nichi nazren ho ga.iin sharma ga.e

uf ye ghunchon ka tabassum ye bahar

haif agar ye ghunche kal murjha ga.e

jis qadar ghunche khile the nau-ba-nau

meri ankhon se lahu barsa ga.e

puchhte kya ho in ashkon ka sabab

vaqi.at-e-rafta phir yaad aa ga.e

ab to shor apna fasana ḳhatm kar

un ki ankhon men bhi aansu aa ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Bhi Kab Se Chup baiTha Hun Wo Bhi Kab Se Chup baiThi Hai

KHata Gaya Jo Nishana Kaman Badalta Hai

Baaten to Kuchh Aisi Hain Ki KHud Se Bhi Na Ki Jaen

Hai Dil Mein Junun-KHez Parastish Ka Irada

Sufi

Bajan dua Khuda Usi Ki Qubule

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet